main woh woh nahi jo hua karta tha
ab man woh hoon
jisko sochkar main dara karta tha
waqt ke harr pal ne mujhko mujhse cheena
har badalte mausam ne badla mujhe
aur ab main woh woh nahi jo hua karta tha
ek dil bhi hua karta tha yahan kabhi
magar ab yahan ek saudagar hai jo har cheez ki keemat lagata hai
pyaar wafa ka jhooth bol kar duniya ko loot ta rehta hai
mujhe maaf karna ab main woh na raha
jo hua karta tha
main woh hoon jisko soch kar main dara karta tha……….
Advertisement
Thumbs up